Sunday, November 11, 2012

Mustaqil-e-taalluq

aaj woh hawayein kahan gayin jo khushboo bikhera karti thi,
mere naqshe bedari main teri tasweer banaya karti thi.

tujhse jo mila tha tanhai main, use dil main sameta karti thi,
tere na hone par bhi, tere aaghosh main sulaya karti thi.

kyun tanhai ke lamhoun main aaj dil ko teri yaad na aayi hai,
kyun badal gayin hain aaj yeh raahein, kyun hawa ne rukh mora hai,
kya kisi ne dil ko toda hai...

tum bhi sukun se dil main apne un yaadoun ko dohrao to,
rishte ki buniyaad main jakar khud ko mujh main pao to.

kuch bhi to namumkin nahi, firse khushboo bikhero to,
mere yaadoun ki shiddat se hawaoun ke rukh ko moro to.

dekho fir bahaar aayegi, fir se gulistan mahkegi,
hum tum honge ek jaan, duniya ulfat ke tarane gayegi.

Monday, September 12, 2011

Kahan Ho...

mere sirhane tera naqsh pada hai,
fursat mile to aake dekh lena,
khwahishoun ke bistar pe chaahat ka phool pada hai.

timtimate huye diye main tera aks pada hai,
raat ki beqarari se kya poochhna,
aankh khule to dekh lena, subah ki laali main mera dard pada hai.

Beqarari...

bahar baarish ne fiza ko tar kar rakha hai,
andar dil main mere, teri judai ne aag laga rakha hai.
kahan ghayab ho tum itne dinoun se,
kaise bataun dil main kitna maine zakhm bhar rakha hai.


wada karke yun toda na karo,
kuch bole bina yun mujhe adhoora chhora na karo.
raat abhi lambi hai bahut,
yun mujhe tanha choor ke akele soya na karo.

Ehsaas kuch aisa...

teri neem kash aankhein, tere zulfoun ki narmi
kab palak jhapakne deti hai, kab mujhe sone deti hai.

teri aankhoun ki haya, teri baatoun ki adaa
kab aankhein meechne deti hai, kab mujhe chain deti hai.

yeh tanhai, yeh dooriyaan, yeh waqt ka soonapan
kab sukoon deti hai, kab mujhe tere aaghosh main aane deti hai.


iztiraab to mujhe bhi hai tumse door rehne ka,
iqtizaa to mujhe bhi hai tumse milne ka.
bandishoun ne mere parwaz ko rok rakha hai,
afsos, koi par nahi khuda ne mujhe de rakha hai.

Aadaabe ......

gar chingari ho kisi dil main to use hawa na dena,
aaghaaze guftagu main anjaame niha ko talaashna.

ikhlaas se milna par aadaab na bhoolna,
buland-o-bala ho rawish par shiqafat na chhorna.

zindagi hizaqat hi to hai, tum mano ya na mano,
bulbula ban kar na reh jaye, kabhi zarb na chhorna.

Monday, February 1, 2010

Love is there...

Aaj woh mujhe chhor ke kya gayin ki meri jaan gayi,
Maanga tha sirf do qadam ka saath unse woh bhi nibhai na gayi.

Unhain kaise bataun kitna tadap is dil main hai Waseem,
Ki aaj mujh se meri yeh soorat bhi pehchani na gayi.

Monday, October 13, 2008

Zindagi

Zindagi kuch waade liye,
kuch kisse liye
Apni parchhaiyun mein kuch sahmi si,
kuch simti si

Nazrein door talak thaki thaki si
Kisi ke intazar mein
Ghadi ke kante ki raftar kuch is kadar
Ki ek muddat gujar jaye safar mukammal karne mein
Phir bhi zindagi apni parchhaiyun mein.............

Der talak apni mukaddar ka jama pahan kar
Apni kismat pe maghroor hokar
Band hoti palkoun ke saath nazrein garaye
Isi ummeed mein muddat gujara kiya
Ki woh roshan subah aayegi, bahut jald aayegi
Jab log apni band palkoun se bhi duniya ko roshani denge
Isi ummeed ke saath nazrein........Zindagi apni parchhaiyun mein...........
Simti si